tamam ru-e-zamin par sukut chhaya tha nuzul kaisi qayamat ka hone wala tha yahan to aag ugalti hai ye zamin har su wo ek abr ka para kahan pe barsa tha bas ek bar hua tha wajud ka ehsas bas ek bar dariche se us ne jhanka tha abhi dasa na gaya tha ye jism tapta hua abhi khazina-e-makhfi pe sanp soya tha safar mein sar pe teri dhun to thi sawar magar nigah mein koi manzil na koi rasta tha ye qatra bahr-e-maani hai maujzan jis mein qalam ki nok se pahle kabhi na tapka tha