yun to hai dahr mein har dard ka har gham ka ilaj kash ho jae meri kahish-e-paiham ka ilaj aman-e-sahil hai jo tughyani-e-barham ka ilaj phir to mushkil nahin insan ke kisi gham ka ilaj zindagi chhinne wale teri qudrat ki qasam tere hathon mein tha bimar shab-e-gham ka ilaj han wahi phul jo shabnam ki badaulat mahke un se bhi ho na saka girya-e-shabnam ka ilaj jab sataya gham-e-dauran ne to itni pi li ek aalam se kya dusre aalam ka ilaj pine walo abhi kuchh der mere sath raho aap kar sakte hain kuchh dida-e-pur-nam ka ilaj ab to ehsas mujhe bhi yahi hota hai 'aziz' mere ashaar mein muzmar hai mere gham ka ilaj