tamam shahr mein tira-shabi ka charcha tha ye aur baat ki suraj ufuq pe nikla tha ajib wajh-e-mulaqat thi meri us se ki wo bhi meri tarah shahr mein akela tha main sab samajhti rahi aur muskuraati rahi mera mizaj azal se payambaron sa tha main us ko kho ke bhi us ko pukarti hi rahi ki sara rabt to aawaz ke safar ka tha main gul-parast bhi gul se nibah kar na saki shuur-e-zat ka kanta bahut nukila tha sab ehtisab mein gum the hujum-e-yaran mein khuda ki tarah mera jurm-e-ishq tanha tha wo tere qurb ka lamha tha ya koi ilham ki us ke lams se dil mein gulab khilta tha mujhe bhi mere khuda kulfaton ka ajr mile tujhe zamin pe bade karb se utara tha