tut jata hai sitaron ka bharam raat gae jagmagate hain tere naqsh-e-qadam raat gae kya bataen jo guzarti hai hamare dil par yaad aate hain jab apnon ke sitam raat gae gharq ho jati hai jab nind mein sari duniya jag uthte hain adibon ke qalam raat gae roz aate hain sada de ke chale jate hain dil ke darwaze pe kuchh ahl-e-karam raat gae rok leti hai teri yaad sahaara ban kar dagmagate hain agar mere qadam raat gae jin ki ummid mein hum din ko jiya karte hain tut jate hain wahi qaul-o-qasam raat gae jin ki qismat mein nahin din ka ujala 'mansur' un charaghon mein jala karte hain hum raat gae