tamam-umr ki ghaflat ke baad khwab aaya utha jo parda-e-hasti mujhe hijab aaya ajal-nasib tha sham-e-visal khwab aaya wo be-hijab hue to mujhe hijab aaya bala hai ahd-e-jawani se khush na ho ai dil sambhal ki umr ki duniya mein inqalab aaya badhae hausle dariya-dili ne saqi ki zara se jam mein sau bar aaftab aaya koi sada nahin aati ki kaun hai kya hai kahan bhatak ke dil-e-khanuman-kharab aaya ummid-o-bim mein rakkha tamam raat mujhe kabhi naqab uthai kabhi hijab aaya zamane walon ko pahchanne diya na kabhi badal badal ke libas apne inqalab aaya siwae yas na kuchh gumbad-e-falak se mila sada bhi di to palat kar wahi jawab aaya uda ke hosh hua ho gai tajalli-e-tur sabhon se aankh churaata hua hijab aaya harif-e-mai nahin samjha to kyun meri jaanib lahu ke ghunt piye saghar-e-sharab aaya hate na apni tabiat se husn-o-ishq kabhi hazar bar zamane mein inqalab aaya sunain kya tumhein nairang-e-ishq ka qissa tamam-umr na aankhen khulin na khwab aaya khatak wo dil mein hi paida jo aaj tak na hui samajh raha hun ki tifli gai shabab aaya kafan pinha diya 'saqib' sanam-parasti ne khuda ke samne jate hue hijab aaya