safar mein yaad na aae koi thikana hamein gham-e-zamana laga aisa taziyana hamein amir-e-shahr ne kaghaz ki kashtiyan de kar samundaron ke safar par kiya rawana hamein jahan se sath zamane ko le ke chalna tha wahin pe chhod gai gardish-e-zamana hamein har ek samt khadi hain buland diwaren tamam shahr nazar aae qaid-khana hamein muluk-e-ham-nafasan dekh kar ye dhyan aaya ki kash phir mile dushman wahi purana hamein hawa-e-subh-e-dil-azar itni tez na chal charagh-e-sham-e-ghariban hain hum bujha na hamein nigah padti hai phir kyun parai shamon par agar aziz hai 'mohsin' charagh-e-khana hamein