tamam umr kisi ka sahaara mil na saka main aisa dariya tha jis ko kinara mil na saka tabahiyon ke manazir har aankh raushan the mohabbaton ka kahin istiara mil na saka tamam zist rahi nazr-e-abla-pai safar ke khatm ka hum ko ishaara mil na saka kabhi jo sab ke liye bais-e-mohabbat tha mujhe wajud wo aisa dobara mil na saka khuli rahi hain hamesha safar mein aankhen meri nigah-e-shauq ko rangin nazara mil na saka meri hayat mein thi jis ke lams ki garmi mere nafas ko phir aisa sharara mil na saka faza-e-shahr pe har samt tha dhuan 'naqwi' kahin pe koi bhi raushan sitara mil na saka