ba-ehtiyat mere pas se guzar bhi gaya wo be-niyaz raha aur ba-khabar bhi gaya na tan ka hosh raha aur na jaan aziz hui wo marka tha ki ehsas-e-tegh-o-sar bhi gaya tumhin mein tha wo magar tum na us ko jaan sake aur ab to wadi-e-la-samt mein utar bhi gaya sanbhaale baithe the dastar donon hathon se uthi wo mauj ki pagdi ke sath sar bhi gaya wo zahr aarzu-e-lams jazb karta raha kisi ko das na saka phir wo nag mar bhi gaya meri ana hi mujhe e'timad deti thi wo shakh tut gai aur wo samar bhi gaya