tamam umr ye uqda nahin khula mujh se har ek shakhs hai kyunkar gurez-pa mujh se ajib hukm hai us ki saza bhi main katun wo ek jurm jo sarzad nahin hua mujh se main kis tarah se use zindagi samajh leta jo ek bar bhi khul kar nahin mila mujh se nazar jo us se hataun to aisa lagta hai koi namaz hui ho kahin qaza mujh se hujum-e-shahr pe ilzam kis liye 'asim' mera nasib hi karta raha dagha mujh se