tamanna thi so marqad par gaya tha na samjho ye ki main bhi mar gaya tha khuda se kya gila sach to yahi hai main apni hasraton se dar gaya tha nigahen muntazir the hath khali phir ek mazdur kaise ghar gaya tha jo mushkil aa padi to wo na aae magar khush hun ki main aksar gaya tha zamin-o-asman shahid hain us ke ki phaila chaar-su wo shar gaya tha thi masjid dawat-e-maslak tabhi main khuda ko dhundne mandar gaya tha bana kafir musalman ab hai hasrat main kafir ko musalman kar gaya tha