fasil-e-khwab pe sidhi lagane wala hun main ek raaz se parda uthane wala hun takhaiyyulat ke dane bikher kar har-su zamin-e-aql pe hairat ugane wala hun meri nazar mein ye jiwan hai jal-pari jaisa main shokh rang ke sagar dikhane wala hun guman ki had se bhi aage padaw dala hai bahut ruka to faqat shab batane wala hun main aainon ko tajjub mein dal kar ek din tamam aks nazar se churane wala hun main ho gaya hun bahut mutmain suhulat mein so mushkilat mein khud ko phansane wala hun fasane khub gadhe hain bina kahani ke ghazal bhi ishq se baala sunane wala hun