tamannaen aziyyat ka nazara hum na kahte the khasara hai khasara hi khasara hum na kahte the tumhaari intihaen ant par be-sud nikli hain samundar jitna gahra utna khaara hum na kahte the na tu bandon se hai raazi na bande tujh se raazi hain khudai rog hai parwardigara hum na kahte the ye maidan-e-tag-dau hai mashaqqat hi mashaqqat hai wahi jitega jo sau bar haara hum na kahte the ghulami ko to aazadi samajhte hain yahan insan ye hathkadiyon mein kar lenge guzara hum na kahte the chuna tha tu ne jo rasta use hum tark kar aae siyanon ko hai kafi ek ishaara hum na kahte the sabhi ne apne tinke bhi bil-akhir khud uthae hain nahin hoga yahan koi sahaara hum na kahte the na 'zishan' aagahi puri hui umren huin puri na hoga ilm ka koi kinara hum na kahte the