sukhan ka us se yara bhi nahin hai sukhan ke bin guzara bhi nahin hai bayan sheron mein hum karte hain jitna wo is darja to pyara bhi nahin hai bahut shikwe hain us ko zindagi se magar marna gawara bhi nahin hai nazar mein jitni hairani hai utna anokha to nazara bhi nahin hai libas-e-jaan tujhe wapas to de dun magar ek qarz utara bhi nahin hai nikal aae dil-e-viran ki jaanib koi qismat ka mara bhi nahin hai sahaara us ka lena pad gaya hai jo khud apna sahaara bhi nahin hai jise 'zishan' badh kar rokna tha use main ne pukara bhi nahin hai