tamannaon ko zinda aarzuon ko jawan kar lun ye sharmili nazar kah de to kuchh gustakhiyan kar lun bahaar aai hai bulbul dard-e-dil kahti hai phulon se kaho to main bhi apna dard-e-dil tum se bayan kar lun hazaron shokh arman le rahe hain chutkiyan dil mein haya un ki ijazat de to kuchh bebakiyan kar lun koi surat to ho duniya-e-fani mein bahalne ki thahar ja ai jawani matam-e-umr-e-rawan kar lun chaman mein hain baham parwana o shama o gul o bulbul ijazat ho to main bhi haal-e-dil apna bayan kar lun kise malum kab kis waqt kis par gir pade bijli abhi se main chaman mein chal kar aabaad aashiyan kar lun bar aaen hasraten kya kya agar maut itni fursat de ki ek bar aur zinda shewa-e-ishq-e-jawan kar lun mujhe donon jahan mein ek wo mil jaen gar 'akhtar' to apni hasraton ko be-niyaz-e-do-jahan kar lun