zamin din-raat jal rahi hai tabhi to shoale ugal rahi hai kalam karte hain log khud se bhadas dil ki nikal rahi hai abhi se kya faisla karun main abhi to duniya badal rahi hai qadam badhane ka hai natija ki barf ab kuchh pighal rahi hai wahan to mausam hai barishon ka nadi yahan kyun ubal rahi hai tum apna shosha uthae rakkho meri tabiat bahal rahi hai jagi hai koi to aas mujh mein jo nind khwabon mein dhal rahi hai hata jo malba to main ne jaana abhi meri sans chal rahi hai nafas nafas ji raha hun 'rahat' gadhi gadhi maut tal rahi hai