tamasha apna sar-e-rah-guzar banaya jae

tamasha apna sar-e-rah-guzar banaya jae
jo rahzan hai use rahbar banaya jae

saliqa ye bhi to hai sar utha ke jine ka
jo hum mein aib hain in ko hunar banaya jae

tamam umr isi kaam mein rahe masruf
har ek dil mein mohabbat ka dar banaya jae

khushi ka kya hai hamesha fareb deti hai
to apne gham ko hi ab mo'atabar banaya jae

jahan na pad sake saya bhi koi nafrat ka
mohabbaton ka ek aisa nagar banaya jae

abhi nuqush numayan nahin hue hain mere
tarash kar mujhe bar-e-digar banaya jae

koi nahin abhi tayyar sath chalne ko
so apne sae ko hi ham-safar banaya jae

sab apni zat mein gum hain ye soch kar 'nayab'
parae dard ko kyun dard-e-sar banaya jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close