mushkil mein dalta hun main apne wajud ko aasan bana raha hun main apne wajud ko takmil chahta hun main apne wajud ki har rukh se dekhta hun main apne wajud ko donon ke darmiyan kahin kuchh hai mushtarak so tujh mein dhundhta hun main apne wajud ko kar de na war mujh pe mera main ye soch kar khud se bacha raha hun main apne wajud ko apne wajud se nahin main mutmain abhi har lamha manjhta hun main apne wajud ko ranj-o-alam ki bhatti mein 'nayab' dal kar kundan bana raha hun main apne wajud ko