tamasha ban gain nazren jahan dekha jidhar dekha tere jalwon mein gum ho kar tujhi ko jalwa-gar dekha bas itna tur par ja kar tajalli ka asar dekha ki musa ne khud apne aap ko bhi be-khabar dekha sukun milna kuja tadpa diya bimar-e-hijran ko ajab andaz-e-dil-jui tera ai chaaragar dekha wo isa ho ki ho mansur ya ahl-e-wafa koi hamesha tere diwanon ko hum ne dar par dekha hua hai jab se dil mera giraftar-e-asir-e-gham na nale hi rasa dekhe na aahon mein asar dekha na ho kyon laeq-e-sad-afrin diwana-e-hasti usi jaanib chala hai rasta jo pur-khatar dekha masihai tumhaari shohra-e-afaq hai lekin kisi dard-ashna dil ko bhi tum ne jhank kar dekha