sang-dil yun bhi mohabbat ka sila dete hain bhul kar ahd-e-wafa ranj-e-wafa dete hain apne diwane ko kya khub saza dete hain dil ke har goshe mein tufan utha dete hain muddaten guzrin idhar se koi guzra hi nahin roz hum shama jalate hain bujha dete hain chaal mein raqs-e-nasim-e-sahari ke andaz baat karte hain to ghunchon ko khila dete hain ek hi kaam mohabbat mein hai diwanon ka tum salamat raho bas ye hi sada dete hain maut us ki hai hayat us ki hai duniya us ki jis ko jine ka saliqa wo sikha dete hain un se ai 'dard' taghaful ki shikayat kya hai jo har ek baat ka afsana bana dete hain