tamashai bane rahiye tamasha dekhte rahiye yahi duniya hai to kab tak ye duniya dekhte rahiye agar apne bikharne ka nazara kar nahin sakte to ye kije ki wo raushan sitara dekhte rahiye ki yun manzar badal jaane se hairani nahin hoti agar gulshan mein rahna ho to sahra dekhte rahiye miyan kya aaine ko khelne ki chiz samjhe the ab apne-ap ko qiston mein batta dekhte rahiye idhar tum pyas ki hurmat ka qissa chhed baithe ho udhar mausam ye kahta hai ki dariya dekhte rahiye