tamashe dekhta jata hun ibrat hoti jati hai

tamashe dekhta jata hun ibrat hoti jati hai
meri nazron mein duniya be-haqiqat hoti jati hai

idhar mashq-e-sitam ke marhale tai hote jate hain
udhar takmil-e-rudad-e-mohabbat hoti jati hai

tere jalwe to badle dete hain naqsha hi duniya ka
ki har taswir ek taswir-e-hairat hoti jati hai

kahan ki aarzuen kis ke arman kaisi ummiden
ab is hangame se barham tabiat hoti jati hai

ab is manzil ko samjhun kaun si manzil mohabbat ki
ye aalam hai ki wahshat se bhi wahshat hoti jati hai

sanbhalta ja raha hai dil main un ki yaad ke sadqe
mohabbat chaara-e-dard-e-mohabbat hoti jati hai

ye naqsha hai to gham ki parda-dari ho chuki 'nudrat'
ki dil ka aaina ab meri surat hoti jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close