tamashe ki shaklen ayan ho gai hain bahaaren bahut yan khizan ho gai hain khabar pas-rawon se tum un ki na puchho jo ruhen adam ko rawan ho gai hain nikali hain jo hum ne auj-e-sukhan se zaminen wo sab aasman ho gai hain unhen farz hai tir ka kis ke sajda jo mewe ki shakhen kaman ho gai hain wo but qata karta hai zulfon ko shayad nazakat par us ki giran ho gai hain tuk ai baghban rahm kar bulbulon par khizan mein ye be-ashiyan ho gai hain main roya hun yan tak judai mein teri ki aankhen meri nawdan ho gai hain judai mein us zulf ki misl-e-shana meri ungliyan ustukhwan ho gai hain rukh us ka main ai 'mushafi' kyun ki dekhun nigahen meri bad-guman ho gai hain