makka gaya madina gaya karbala gaya

makka gaya madina gaya karbala gaya
jaisa gaya tha waisa hi chal phir ke aa gaya

dekha ho kuchh us aamad-o-shud mein to main kahun
khud gum hua hun baat ki tah ab jo pa gaya

kapde gale ke mere na hon aab-dida kyun
manind-e-abr dida-e-tar ab to chha gaya

jaan-soz aah o nala samajhta nahin hun main
yak shoala mere dil se utha tha jala gaya

wo mujh se bhagta hi phira kibr-o-naz se
jun jun niyaz kar ke main us se laga gaya

jor-e-siphar-e-dun se bura haal tha bahut
main sharm-e-na-kasi se zamin mein sama gaya

dekha jo rah jate tabakhtur ke sath use
phir mujh shikasta-pa se na ik-dam raha gaya

baitha to boriye ke tain sar pe rakh ke 'mir'
saf kis adab se hum fuqara ki utha gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close