tan par us ke sim fida aur munh par mah diwana hai sar se lai kar panw talak ek moti ka sa dana hai naz naya andaz nirala chitwan aafat chaal ghazab sina ubhra saf sitam aur chhab ka qahr yagana hai banki saj-dhaj aan anuthi bholi surat shokh-mizaj nazron mein khul khel lagawat aankhon mein sharmana hai tan bhi kuchh gadraya hai aur qad bhi badhta aata hai kuchh kuchh husn to aaya hai aur kuchh kuchh aur bhi aana hai jab aisa husn qayamat ho betab na ho dil kyunki 'nazir' jaan par apni khelenge ek roz ye hum ne jaana hai