tang aa gae hain kya karen is zindagi se hum ghabra ke puchhte hain akele mein ji se hum majburiyon ko apni kahen kya kisi se hum lae gae hain, aae nahin hain khushi se hum kam-bakht dil ki man gae, baithna pada yun to hazar bar uthe us gali se hum yarab! bura bhi ho dil-e-khana-kharab ka sharma rahe hain is ki badaulat kisi se hum din hi pahad hai shab-e-gham kya ho kya na ho ghabra rahe hain aaj sar-e-sham hi se hum dekha na tum ne aankh utha kar bhi ek bar guzre hazar bar tumhaari gali se hum matlab yahi nahin dil-e-khana-kharab ka kahne mein us ke aaen guzar jaen ji se hum chheda adu ne ruth gae sari bazm se bole ki ab na baat karenge kisi se hum tum sun ke kya karoge kahani gharib ki jo sab ki sun raha hai kahenge usi se hum mahfil mein us ne ghair ko pahlu mein di jagah guzri jo dil pe kya kahen 'bismil' kisi se hum