mujh ko jo tum se hua wo pyar bhi ujlat mein tha pyar kya is pyar ka izhaar bhi ujlat mein tha ek payambar ko kiya nilam kuchh soche baghair kis qadar wo misr ka bazar bhi ujlat mein tha daudte unton se girte rahiyon ko chhod kar qafila aur qafila salar bhi ujlat mein tha hai mili mujh ko saza-e-zist to bas is liye munsifi ujlat mein pairawkar bhi ujlat mein tha din abhi nikla nahin aur be-khatar wo so gaya us gali ka sust pahre-dar bhi ujlat mein tha tha wo ujlat mein jise karna tha din bhar kaam aur ghar mein bistar par pada be-kar bhi ujlat mein tha phul ko chheda nahin aur 'qais' zakhmi ho gaya munsalik us shakh se ek khar bhi ujlat mein tha