tang aa jate hain dariya jo kuhistanon mein sans lene ko nikal jate hain maidanon mein khair ho dasht-e-nawardan-e-mohabbat ki ab shahr baste chale jate hain bayabanon mein ab to le leta hai baatin se yahi kaam junun nazar aate nahin ab chaak garebanon mein mal chori ka jo taqsim kiya choron ne nisf to bat gaya basti ke nigahbanon mein kaun tarikh ke is sidq ko jhutlaega khair-o-shar donon muqayyad rahe zindanon mein justuju ka koi anjam to zahir ho 'nadim' ek musalman to nazar aae musalmanon mein