tang aate bhi nahin kashmakash-e-dahr se log

tang aate bhi nahin kashmakash-e-dahr se log
kya tamasha hai ki marte bhi nahin zahr se log

shahr mein aae the sahra ki faza se thak kar
ab kahan jaenge aaseb-zada shahr se log

nakhl-e-hasti nazar aaega kabhi nakhl-e-salib
zist ki fal nikalenge kabhi zahr se log

hum ko jannat ki faza se bhi ziyaada hai aziz
yahi be-rang si duniya yahi be-mehr se log

mutmain rahte hain tufan-e-masaib mein kabhi
dub jate hain kabhi dard ki ek lahr se log

ai zamin aaj bhi zarre hain tere mahr-tarash
ai falak aaj bhi ladte hain tere qahr se log

sirf mahrumi-e-farhad ka kya zikr 'sahar'
be-sutun kat ke mahrum rahe nahr se log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close