na ham-nawa mere zauq-e-khiram ka nikla ye rasta bhi usi narm-gam ka nikla nae gulon ki sada-e-shaguft tez hui hawa ke lams se rishta kalam ka nikla musawwiri na sahi kaam aai be-hunari koi bahana to un se salam ka nikla talash-e-rizq mein nikle the mahr-e-subh liye aqab se pahla sitara bhi sham ka nikla yahan bhi dhup chali aai be-khayali ki ye saeban-e-tasawwur na kaam ka nikla musahibon ki tarah har qadam pe khar mile mera safar to bade ehtimam ka nikla wahi shajar wahi patte wahi hawa wahi aag kalam-e-nau bhi mera rang-e-am ka nikla