tanha chand ko dekha hoga koi yaad to aaya hoga zabt ka shisha chatkha hoga yaad ne kankar phenka hoga sawan ki bhigi khushbu ne sanson ko sulgaya hoga gagar se chimti hai 'radha' 'shyam' jo us ko chhuta hoga hum kya khak ghazal likkhen jab angdai par pahra hoga tere tewar dekh ke akasr mausam rang badalta hoga jis ne pyar lutaya us ka aansu hi sarmaya hoga wasl ki chah mein tapta suraj saghar dub ke rota hoga saunp ke maujon ko bechaini pyasa sahil sota hoga tara tuta aur dil dhadka tujhe kisi ne manga hoga