us ka lahja ukhadta jata hai phir bichhadne ka waqt aata hai us ka andaz-e-guftugu akasr mere lahje mein jagmagata hai us ki sansen jab aag deti hain mera chehra bhi timtimata hai pyas jab ediyan ragadti hai chashma-e-ab phut jata hai jab bhi aata hai phul kajal ke mere kandhe pe tank jata hai main chakoron ka ham-nawa hun mujhe tu shab-e-hijr se daraata hai der tak main bhi main nahin rahta jab wo mere qarib aata hai