tanha chhod ke jaane wale ek din pachhtaoge aas ka suraj dub raha hai laut ke ghar kab aaoge nafrat ko mahsur kiya hai ulfat ki diwaron mein jin rahon se guzroge tum pyar ki khush-bu paoge dil ki viran nagri pe ab gham ke baadal chhae hain dukh ki kali raat mein bolo kab tak sath nibhaoge koyal to patthar ke dar se aakhir ko ud jaegi baadal to pagal hai us ko kaise tum samjhaoge tum to khud sahra ki surat bikhre bikhre lagte ho 'farrukh' se 'farrukh' ko socho kaise tum milwaoge