tanha har ek rah se guzar jaana chahiye jaise jiye hain waise hi mar jaana chahiye jaane ye dil ka dard kahan tak sataega dariya chadhe to us ko utar jaana chahiye bujh kar wajud-e-shoala sulagta hai kis liye main rakh hun to mujh ko bikhar jaana chahiye aawargi mein kab se guzarti hai raat bhi aakhir kabhi to sham ko ghar jaana chahiye ai dosto khade ho mere gird kis liye koi batao mujh ko kidhar jaana chahiye har jalwa-e-jamal se tang aa chuka hai ji ek roz zindagi se bhi bhar jaana chahiye 'jamshed' sun rahe ho safar ki pukar kya tufan ko yun na rah mein thahar jaana chahiye