raat bhar shoala-e-jaan khub badhaya jae phir dam-e-subh hi khwabon ko jalaya jae jab qaza likh hi chuki silsila-e-rah-e-fana kyun na phir waqt-e-ajal jald bulaya jae saat-e-sham-e-gham-e-hijr ka sannata hai shahr-e-auham ko sapnon se sajaya jae jiddat-e-wahshat-e-sahra ke liye lazim hai dasht ke beach ab ek shahr basaya jae bar-e-jaan lad liya sar pe aur ab sochte hain itna kafi hai ki kuchh bojh badhaya jae kurra-e-did ko dauran-e-taqaza-e-nazar kashish-e-saql-e-nazara se chhudaya jae shorish-e-khak-o-lahu dekh ke us ne socha kyun na ab ashk se insan banaya jae tah se le aaen use hum magar itna to khule kitni gahrai mein ja kar use paya jae