tanha khade hain hum sar-e-bazar kya karen koi nahin hai gham ka kharidar kya karen ai kam-nasib dil tu magar chahta hai kya sannyas le len chhod den ghar-bar kya karen uljha ke khud hi zist ke ek ek tar ko khud se sawal karte hain har bar kya karen ek umr tak jo zist ka hasil bani rahin pamal ho rahi hain wo aqdar kya karen hai puri kaenat ka chehra dhuan dhuan ghazlon mein zikr-e-yar tarah-dar kya karen is dohri zindagi mein bhi lakhon azab hain duniya se dil hai barsar-e-paikar kya karen