simat na pae ki har-su bikhar gae the hum hujum-e-yas mein kya soch kar gae the hum hue the rakh to kuchh rasta hi aisa tha dabi thi aag zamin mein jidhar gae the hum ye kya ki phir se yahan hukmarani-e-shab hai hisar-e-shab to abhi tod kar gae the hum wo kya khushi thi ki barbaad kar gai sab kuchh wo kaisa gham tha ki jis se sanwar gae the hum mili thin phir bhi wo diwaren ajnabi ban kar agarche sham se pahle hi ghar gae the hum ghire the maslahat-andesiyon mein puri tarah jo dil ka sath na dete to mar gae the hum