tanha na mahr mein hai rukh-e-yar ki tarah mah mein tamam us ke hai rukhsar ki tarah hairan aise nain hui aankhon ko us ki dekh nargis chaman mein rahti hai bimar ki tarah main sun ke jo qayas kiya wo dahan-e-tang khandan to hai pe khanda-e-sofar ki tarah sina-sipar hun bul-hawasan kab ki yar ke paiwasta abru ladte hain talwar ki tarah rakhiyo hazar ai dil ki mujhe aaj be-tarah aati nazar hai shokh dil-azar ki tarah aghyar us ki bazm mein hain aur dar par aah hum hi pade rahenge gunahgar ki tarah kahte the qais-o-wamiq-o-farhad wah-wa koi aashiqi kare to 'jahandar' ki tarah