KHushbu hamare pyar ki har su bikhar to jae

khushbu hamare pyar ki har su bikhar to jae
basti se ikhtilaf ka tufan guzar to jae

mera yaqin hai use mil jaega sukun
tufan meri kashti mein do pal thahar to jae

tanqid-o-tabsira koi kuchh bhi kare to kya
meri ghazal janab ke dil mein utar to jae

us se lipat ke roengi sari udasiyan
sham-e-gham-e-firaq kabhi mere ghar to jae

phir jae wo khalaon mein tahqiq ke liye
apne badan ke ghaar mein pahle utar to jae

hai un ki tarbiyat pe nazar is liye meri
bachchon mein meri zat ka thoda asar to jae

samjha na us ki pyas ko ab tak koi yahan
dariya ki tah mein kash kisi ki nazar to jae

ye yatra bhi amn ki dushman na ho kahin
logon ke dil se pahle ye khauf-o-khatar to jae

kahte the ye 'jamil' se kal ‘mustafa-jamil'
meri nazar se aage kisi ki nazar to jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close