tanha nahin hun gar dil-e-diwana sath hai wo harzah-gard hun ki pari-khana sath hai hangama ek pari ki sawari ka dekhna kya dhum hai ki saikdon diwana sath hai dil mein hain lakh tarah ke hile bhare hue phir mashwara ko aaina o shana sath hai roz-e-siyah mein sath koi de to jaaniye jab tak farogh-e-shama hai parwana sath hai deta nahin hai sath tahi-dast ka koi jab tak ki mai hai shishe mein paimana sath hai sikha hun mai-kade mein tariq-e-farotani jab tak ki sar hai sajda-e-shukrana sath hai jo be-basar hain dhundte phirte hain dur dur aur har qadam pe jalwa-e-jaanana sath hai kya khauf ho hamein zan-e-duniya ke makr ka apni madad ko himmat-e-mardana sath hai gham ki kitab se dil-e-sad-para kam nahin jis bazm mein gae yahi afsana sath hai manind-e-gard-baad hun khana-ba-dosh main sahra mein hun magar mera kashana sath hai