tanhai jahan zikr-e-rukh-e-yar kare hai har gham ko charagh-e-sar-e-diwar kare hai wo pursish-e-gham ho ki tera lutf-o-karam ho diwana to har baat se inkar kare hai muddat hui hum shahr-e-tamanna se chale aae kyon hum se saba zikr-e-rukh-e-yar kare hai be-rabt si nazron mein wo andaz-e-ta'alluq har marhala-e-zist ko dushwar kare hai zanjir na pahni ki gareban na kiya chaak yun bhi koi ruswa sar-e-bazar kare hai