tanhai ka gham dhoen aur ro ro ji halkan karen is se behtar hoga ki wo mashq-e-tir-e-kaman karen waqt ka rona rone wale waqt ko zae karte hain palkon se lamhon ki kirchen chunne ka saman karen sadkon ke chaurahon par jin ko tanhai ghere ho us simabi duniya mein kyun jine ka arman karen bahar ki duniya mein jin ko jins-e-wafa nayab lage apne andar ke but-khanon ko pahle viran karen suraj ki sat-rangi kirnen pyas bujhane aati hain saton sakhiyan phul-badan jab ganga mein ashnan karen jo dharti ki shah-rag katen shiryanon mein zahr bharen is murakh nagri ke bashi un hi ke gun-gan karen