ai dost main khamosh kisi dar se nahin tha qail hi teri baat ka andar se nahin tha har aankh kahin daur ke manzar pe lagi thi bedar koi apne barabar se nahin tha kyun hath hain khali ki hamara koi rishta jangal se nahin tha ki samundar se nahin tha ab us ke liye is qadar aasan tha sab kuchh waqif wo magar sai mukarrar se nahin tha mausam ko badalti hui ek mauj-e-hawa thi mayus main 'bani' abhi manzar se nahin tha