tanhai ke lamhat ka ehsas hua hai jab taron bhari raat ka ehsas hua hai kuchh khud bhi hun main ishq mein afsurda o ghamgin kuchh talkhi-e-haalat ka ehsas hua hai kya dekhiye un tira-nasibon ka ho anjam din mein bhi jinhen raat ka ehsas hua hai wo zulm bhi ab zulm ki had tak nahin karte aakhir unhen kis baat ka ehsas hua hai bazi-gah-e-alam mein to ek khel hai jina is khel mein kab mat ka ehsas hua hai rukh par tere bikhri hui zulfon ka ye aalam din ka to kabhi raat ka ehsas hua hai kuchh khud bhi wo nadim hain 'nasim' apni jafa par kuchh meri shikayat ka ehsas hua hai