jab koi sham-e-hasin nazr-e-kharabaat hui aksar aise mein tere gham se mulaqat hui aap-apne ko na pahchan sake hum ta-der un se bichhde to ajab surat-e-haalat hui husn se nibh na na saki waz-e-karam aakhir tak awwal awwal to mohabbat ki mudaraat hui roz mai pi hai tumhein yaad kiya hai lekin aaj tum yaad na aae ye nai baat hui us ne aawaz mein aawaz mila di thi kabhi aaj tak khatm na mausiqi-e-jazbaat hui dil pe ek gham ki ghata chhai hui thi kab se aaj un se jo mile tut ke barsat hui kis ki parchhain padi kaun idhar se guzra itni rangin jo guzargah-e-khayalat hui un se ummid-e-mulaqat ke baad ai 'makhmur' muddaton tak na khud apne se mulaqat hui