tanhai ki KHalij hai yun darmiyan mein

tanhai ki khalij hai yun darmiyan mein
har shakhs jaise qaid ho andhe makan mein

us ke labon pe sat-samundar ka aks tha
sadiyon ki pyas jazb thi meri zaban mein

aai agar ghata use suraj ne kha liya
ab ke baras bhi aag lagi aasman mein

takra ke ikhtilaf ki diwar tod di
ziddi tha sar-buland hua khandan mein

yun bhi dahakte dasht se kya kam thi zindagi
be-kar dhup kud padi darmiyan mein

behtar hai apne-ap se kuchh bolte raho
yun chup rahe to zang lagega zaban mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close