silsila mere safar ka kabhi tuta hi nahin main kisi mod pe dam lene ko thahra hi nahin khushk honton ke tasawwur se larazne walo tum ne tapta hua sahra kabhi dekha hi nahin ab to har baat pe hansne ki tarah hansta hun aisa lagta hai mera dil kabhi tuta hi nahin main wo sahra jise pani ki hawas le dubi tu wo baadal jo kabhi tut ke barsa hi nahin aisi virani thi dar pe ki sabhi kanp gae aur kisi ne pas-e-diwar to dekha hi nahin mujh se milti hi nahin hai kabhi milne ki tarah zindagi se mera jaise koi rishta hi nahin