tanhai ne wo raqs-o-tamasha kiya ki wah

tanhai ne wo raqs-o-tamasha kiya ki wah
aisa jahan mein ishq ne ruswa kiya ki wah

dushman bhi meri khak-e-qadam chum kar gae
aisi ana se main ne guzara kiya ki wah

us ki jafa ko main ne yun bakhshin bulandiyan
us ko bana ke dewta sajda kiya ki wah

girdab-e-waqt mein meri kashti ko dekh kar
apnon ne muskura ke kinara kiya ki wah

zakhmon ke har bhanwar mein ubhar aai kahkashan
ek chaaragar ne aisa mudawa kiya ki wah

ashkon ne wo dikhae kamalat ishq mein
diwar-o-dar ko khub-ru sabza kiya ki wah

khulne diya na ranj ka koi bhi muddaa
aisi ada se ishq ka shikwa kiya ki wah

wo khushbuon ki mauj hai phulon ki hai ada
aise mere nafas mein basera kiya ki wah

dega misal waqt bhi us ke kamal ki
yun 'sahiba' ne dasht ko dariya kiya ki wah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close