wafa ke nur se khud ko saja ke baithi hun kisi ki yaad mein duniya bhula ke baithi hun qamar ko aks mera jab se kah diya us ne falak pe ja ke main naz-o-ada se baithi hun junun-e-ishq ne jogan bana diya mujh ko dayar-e-yar pe sar main jhuka ke baithi hun karo na khak pe matam meri jahan walon ana ki aag mein khud ko jala ke baithi hun gham-e-hayat mere dar pe kab thaharta hai qarib aa ke main apne khuda ke baithi hun har ek naqsh-e-qadam ka ye martaba hai mere main dasht-o-sahra ko gulshan bana ke baithi hun wafa pe us ki hai qurban do-jahan 'rinki' jamal-e-yar pe hasti luta ke baithi hun