tanhai thi hawa thi sakit thi purn-masi

tanhai thi hawa thi sakit thi purn-masi
bas dil se aa rahi thi mauhum ek sada si

wasl-o-firaq donon ek kaifiyat ke pahlu
ek aarzi khushi si ek daimi udasi

tesu ke phul sa tha chehra sawad-e-shab mein
gul-aftab nikla to rang tha kapasi

us ko pata nahin hai kya shai hai sard-mehri
chhai hui hai dil par ghanghor ek ghata si

ek ham-nashin ka chehra badla hua sa dekha
chehre pe sharm si thi aankhon mein thi dagha si

wo jism ke alawa kuchh aur bhi to hoti
bangla ki prem-dasi mandir ki dew-dasi

filmon ne chashm-e-dil ko viran kar diya hai
aankhon mein kash utarti 'tariq' zara haya si


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close