tanhaiyon mein kya kahun kya yaad aa gaya afsana ek bhula hua yaad aa gaya aasan samajh ke manzil-e-jaanan pe ho liye wo mushkilen padi ki khuda yaad aa gaya samjha tha main ki dil mein wo ab mahw ho chuka pahle se bhi magar wo siwa yaad aa gaya dil ne fareb ishq mein khae hain bar bar har bar dil ko ahd-e-wafa yaad aa gaya mera sar-e-ghurur nadamat se jhuk gaya us ka karam jo mujh ko zara yaad aa gaya gumnam tha 'habib' aur gumnam chal diya us ka magar wo sidq-o-safa yaad aa gaya